Sawal jawab

POS software ke sawal, aasaan jawab.

Dukaandaar jo sawal humein WhatsApp par poochte hain, unke seedhe jawab Roman Urdu mein.

Mukhtasar jawab

ZAP POS Pakistan ki dukaanon ke liye POS software hai. Bill banane ke liye internet nahi chahiye, FBR ko bill bhej sakta hai, aur kai counters ek hi stock par chalte hain.

Aam sawal

ZAP POS Support 03390035603

POS software kya hota hai?

POS (point of sale) software dukaan ke counter par bill banata hai, bechi hui cheezein stock se kam karta hai aur din ki sale ka hisaab rakhta hai. Register aur calculator ki jagah ek screen.

Kya ZAP POS internet ke baghair chalta hai?

Ji haan. Bill banane ke liye internet ki zaroorat nahi. Bill, receipt, stock aur reports dukaan ke network par chalte hain, aur internet wapas aane par cloud mein chale jate hain.

Load shedding mein billing kaise chalegi?

Bijli jaane par PC band ho jata hai, is liye main PC, counters, printer aur network switch UPS par lagayein. ZAP POS ko internet nahi chahiye, to router band hone par bhi billing chalti rehti hai.

Kya ZAP POS FBR ke saath kaam karta hai?

Ji haan. ZAP POS har bill FBR ko bhej sakta hai aur receipt par FBR ka invoice number aur QR code print karta hai. Internet na ho to bill baad mein khud chala jata hai.

Ek dukaan mein kitne counters chala sakte hain?

Jitne aapka plan allow kare. Sab counters ek hi stock aur prices istemal karte hain, aur sale chand second mein har counter par nazar aati hai.

Main PC band ho jaye to kya hoga?

Counters kuch ghante khud billing karte rehte hain aur main PC wapas aane par sab bills bhej dete hain. Koi bill do dafa save nahi hota.

Kaun se printer aur scanner chalte hain?

Aam thermal receipt printer (80 ya 58 mm, USB ya network), USB barcode scanner, cash drawer aur label printer.

Kya expired dawai bik sakti hai?

Nahi. Product par expiry date daalein; date guzarne ke baad ZAP POS usay bill mein add nahi karne deta.

ZAP POS kahan se milega?

Website ke Download page se. Setup ke liye licence key chahiye; key na ho to setup mein WhatsApp button dabayein, hum bhej denge.